Pages

Search This Website

Wednesday 14 February 2018

Aakhir 14th February ko hi kyu Valentine day manaya jata hai?..

๐Ÿ‘‰Join our whatsapp group



 14th February ke din Valentine day manaya jhata hai,Kya aapne kabhi bhi is din ke baare me jaanne ki kosis ki hai? Ki isi din kyun Valentine day manaaya jata hai ... 

To aao is din ke baare me gahraai me jaankari prapt karte hai... 


"Aurea of ​​Jacobus de Vorazin" naamak ek pustak mai Valentine day ka jikr hai, Yeh din Roam ke ek paadri sant "Valentine" ke name par manaaya jaata hai... 


Sant Valentine dunya mai pyaar ko bhadhava dete thei, lekin Roam ke raaja ko sant Valentine ki yah baat pasand nahu thi aur raaja valentine ke khilaaf thei, Ayr raaja ke anusaar  prem vivaah galat tha... 

Samraat Claudius ko lagtaa tha ki Roam ke yuvak alni premika aur apne parivaar se majbut laghaav hone ki vajaah se sena mai koi bharti nahi le raha, is samasyaa ka Claudius ne hal yah nikaala ki Roam me Shaadi aur saghaai par rok lagaadi.  

Paadri Valentine ne is rok ko roam ki prajaa ke saath na-insaafi  ke rup me svikaara, aur iska virodh krte hue paadri Valentine ne kaafi adhikariyon aur sainiko ko shaadi bhi karvaai, yah sab hone ke baad unhe 14th February ko faansi par chada diya gaya....


Bas usi din se har saal 14th February ko "Valentine day" manaaya jhaata hai....


Puri  dunya mai 14th February ko Valentine day manaaya jaata hai vahi kuch deshon mai ise apni sanskruti ke khilaaf maankar iske cerebration par rok laga di hai...




No comments: